Meri nishaaniyan sambhale rakhna
Unse dhool jhaade rakhna
Ki main door jaa raha hoon…
Mere khat apne dil mein basaaye rakhna
Meri har nazm khud mein dabaye rakhna
Ki main door jaa raha hoon…
Meri raah ke deepak bujha dena
Meri yaad ke diye jalaaye rakhna
Ki main ab laut ke naa aaonga…
Jab yaad kabhi aaye meri
To bheetar jhaank lena
Jo raat me hichki sataaye meri
Paani girte ashko ka pee lena
Jab raha naa jaaye mere bagair
Aansoo do aur bahaa lena
Man kare jo baat karne ka mujhse
To goonjti khamoshiyan meri sun lena
Baahon mein bharne ka jo jee kare
To aanchal apna samet lena
Jo mujh sa chehera dikhai de kahin
Aankhein apni moond lena
Ki main door jaa raha hoon…
Ki main ab laut ke naa aaonga…
Tumhare khayaal na dil mein ghar banaayein mere
Main itni door jaa raha hoon
Ki chalte chalte samay se pag chinnha bhi mit jaayein mere
Main itni door jaa raha hoon
Meri rooh ka sparsh na tum tak pahunch sake
Main itni door jaa raha hoon
Main itni door jaa raha hoon
Ki main ab laut ke naa aaonga…
No comments:
Post a Comment