Ye shauharat ek khoobsurat pyaasi daayan ki si hai,
Mujhe apni ore kheenchti hai,
Mujhe baahon mein bheenchti hai,
Mere sir ko apni god mein rakh sehlaati hai,
Apni aankhon se mujhe pyaase khwaab dikhaati hai,
Meri palkon pe unhe sajaati hai,
Par jab main iska ho jaon, to ye hi mujhe kaatati hai
Mujhe gehri nind se thapede maar ke jagaati hai,
Mere sapno par se khwaab ki safed chaadar uthaati hai,
Mere maathe pe nukeele nakhoon gadaati hai,
Mujhe apni jakad se giraati hai,
Ye shauharat ek khoobsurat pyaasi daayan ki si hai……
Ye kaamyabi nashe ke adh-bhare gilaas ki si hai,
Mere haath ko apni ore badhaati hai,
Mere honth pe choote hi apni mehak ke dhue se behkaati hai,
Mere sir ko chakraati hai,
Mujhe kaanch se saaf bhram mein sulaati hai,
Aur phir ye hi mujhe subah ke pehle pahar jagaati hai,
Mujhe asliyat se roobaroo karaati hai,
Jab main jaag jaon to mere bistar ke sirhaane baith mujhpar
khilkhilaati hai,
Ek kone mein pade toote sheeshe si samajh aati hai,
Jo paaon pad jaye to keel si ghus jaati hai,
Ye kaamyabi nashe ke adh-bhare gilaas ki si hai……
nice try in hindi...
ReplyDeleteThank you
Deletenice one..
ReplyDeleteThank you
Delete